Internet Se Paise Kaise Kamaye – इंटरनेट से पैसे कैसे कमाए in Hindi

Aaj internet puri duniya mein apna vistar kar raha hai. Har jagah internet ki madad se hi kaam kiya jaa raha hai. Aise mein yeh prashna sabhi poochte hain ki internet se paise kaise kamaye jayein? Berozgaar, vidhyarti, mahilayen aur masik vetan pane wale log bhi Internet se paisa kamane ke tarike jaanna chahte hain. To aaiye jaane woh tarike jinke dwara aap internet se paisa kama sakte hain. Internet Se Paise Kaise Kamaye in Hindi.

 

Main aapko kuch yese ideas or topics suggest karunga ki jisse aap internet ke through badi asaani se kuch mehnat karke accha paisa kama sakte hai or aapko 100% paisa bhi milega. Aap logo ne internet se paise kamane ke baare me sabse jayda Blogging, youtube, online Author, online teaching, online survey, Buy and sell products etc ke baare me padha hoga. Me aapko in sab ke alawa bhi kuch khaas or saral ideas bataunga kyonki kabhi kabhi Blogging, teaching, videos making etc sab ke liye asaan nahi hota hai. To chaliye jaante hai ki kaise kare.

Blogging kare

Blogging yani internet par kisi bhi vishay par apne vichar likhna. Ise sab padhte hain. Yadi aap ke vichar doosron ko acche lage to dheere-dheere aapke lekhon ko padhne walon ki sankhya badhti jaati hai aur apka blog lokpriya ho jata hai. Jab apka blog lokpriya ho jata hai to companies apne products ka prachaar karne ke liye unka vigyapan aapke blog par dena chahati hain aur iske badle mein woh aapko accha paisa detee hain. Internet par aise kai sites hain jo aapko free blog banane deti hain. Iske saath hi kai baar publication companies blog mein likhe aapke lekhon, kavitaon ko khareed letee hain jisse accha paisa milta hia.

 

Shikshak bankar

Aap internet par online shikshak bankar bhi paisa kama sakte hain.  Aap apni  ruchi ke vishay mein notes banaiye. Apke pass computer ke saath web camera aur micro phone hona chahiye. Kuch website jaise www.tutorindia.net  aise hain jo aapki padhai aur aapki visheshtaon ke aadhar par aapko online shikshak banne ka mauka detee hain. In websites mein aap apna panjikaran karwakar online padhane ka kaam shuru kar sakte hain jisse apko accha paisa prapt ho sakta hai.

Kitab likhkar

Yadi aap lekhak hain aur upanyas ya kahani ki kitaab likhna chahte hain to aap Internet par usay likh sakte hain. Aapko apni kitab MS-Word mein type karni hogi. Iske baad kuch website jaise Amazon’s kindle, www.pothi.com aisi hai jo e-book banati hain jise internet par paise dekar padha jaata hai. Is prakar agar aapki book acchi hai to ise kafi saare log paisa dekar padhenge aur us kamai se ek bada hissa apko bhi milega.

Chitron ko bechkar

Agar aap achhe chitrakaar hain to aap chitrakari karke bhi internet se paisa kama sakte hain. Aap coffee cup, T-shirts, bag aadi ke liye  tarah-tarah ke designs banakar internet ki web site par daliye aur unhe bechiye. Iske liye kuch websites jaise www.zazzle.com hain jis par aap apne design bech sakte hain.

Rochak video banakar

Aapne koi na koi video YouTube par zaroor dekha hoga. YouTube duniya ki sabse badi video service hai jis par aap koi rochak video banakar upload kar sakte hain. Aap video mobile ya camera se bana sakte hain. Agar aapka video logon dwara pasand kiya gaya to usay bahut se log dekhenge aur tab YouTube aapke video par koi vigyapan bhi dikhayega jisse aapko paisa prapt hoga.

FREE!!! Registration